Dawoodi Bohra Zakereen Website.
Audio and text
Source : www.mumineen.org
Zakir : Hizbe Jamali (Bangalore)
The link to Audio is down on this page....
Text in English
Agosh mei jisko paala, pardes mei usko maara,
Mazlum luta karbal mei, Zahra tera raaj dulara
Roi hai wiladat par bhi, Roi hai shahadat par bhi
Shabbir tujhe maa tarpi, na chain mila pal bhar bhi
Aashur ko lamha lamha, rota raha karbal mein, Zahra tera raaj dulara
Qaasim ke alam ko tarpe, Dulha ka woh lasha dekhe
Kis kis ka uthaye sadma, Kis kis ko woh bekas roye
Bakshish ke liye ghar apna, deta raha karbal mei,
Zahra tera raaj dulara
Bacche bhi uske pyase, aur pehre lage dariya pe
Baccho ne jo paani manga, to ankh se aasu bares
Saqqa bhi nehar par bichra, be aas hua karbal mein
Beta bhi jawa de denga, seene se sina khichenga
Atthara baras waale ki, mayyit bhi utha layenga
Kandhe pe liye woh laasha, Ghar ko chala karbal me
Jab teer laga gardan par, hatho pe jo guzra asgar
Koi to madad ko aaye, tanha hai hamara dilbar
Turbat mein pisar khud apna, deke chala karbal mei
Aayi yeh sada maa aawo, Godi mein ab to sulao
Ab aakhri yeh sajda hai, himmat meri aake badhawo
Mushkil mei pisar hai tumhara, kehta raha karbal mei
Maa fatema aayi karbal, baalon se sawara maqtal
Mera lal karenga sajda, jab asr ka aayenga pal
Us jalti zameen par sajda, karta raha karbal mei
Sajde mein hai ab to dilbar, chalta hai shimar ka khanjar
Sar tan se juda hota hai, hai dono jaha mei mehshar
Us dam bhi dua ka tosha, karta raha karbal mei
Zahra ke pisar ko rolo, aye mumino maatam karlo
Pursa aye azadaron yeh, burhane huda ko de do
Jin ke liye sajda dua ka karta raha karbal mei
Yeh arz jamali kar le, shabbir ka waasta deke
Mushkil ho hamari aasaa, burhane huda ke dam se
Us gam ke wasile zahra, jo seh gaya karbal mein